Saturday, 18 July 2015

Manzil-e-khaas

Har roz jab mein akele 
tanhayee se baatein karta hoon
Tanhayee ko humesha zindagi ke baare me
shiqayat karte hue sunta hoon ||

Haan, mein maanta hoon
kuch mushkilon ka saamna kiya hoga
kuch aisi cheezon ko
zindagi mein aane diya hoga||

kya kar sakta tha mein bhi
waqt ke aage mein bhi mazboor tha
jitna bhi mila mujhe
bas utna hi khuda ko manzoor tha||

aage bhi aisa hi hona hai
shaayad kuch paana hai aur kuch khona hai
inhi raahon mein har doosri mod pe
jaane kya hoga.. lekin zaroor muskuraana hai||

kisi ko bhi pata nahi..aage kya hoga
bas isi umeed pe jeena hai
Aage ek manzil hai
Aur us Manzil ko .. Manzil-e-Khaas banana hai||
--
Guru

Facebook Status....galu(Part 3)